Table of Contents
Mere Samne Wali Khidki Mein | Padosan | Purana Hindi Gana | Kishore Kumar
Mere Samne Wali Khidki Mein Lyrics Song Credits:
Singer | Kishore Kumar |
Music | R. D. Burman |
Movie | Padosan (1968) |
Song Writer | Rajendra Krishan |
Director | Jyoti Swaroop |
Starcast | Sunil Dutt, Saira Banu |
Mere Samne Wali Khidki Mein Lyrics in Hindi was sung by Kishore Kumar is from the movie Padosan. The song is written by Rajendra Krishan. Music composed by R. D. Burman. The movie was directed by Jyoti Swaroop.
Lyrics Of Mere Samne Wali Khidki Mein Starts
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ke vo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Jis roz se dekha hai usko
Ham shamaa jalaana bhool gaye
Dil thaam ke aise baithe hain
Kahin aana jaana bhool gaye
Ab aath pahar in aankhon mein
Vo chanchal mukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye
Par uski ek jhalak ko ham
Ai husn ke maalik taras gaye
Kab pyaas bujhegi aankhon ki
Din raat ye dukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ke vo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai.
Mere Samne Wali Khidki Mein Lyrics Old Hindi Songs PDF
Listen to Kishore Kumar Mere Samne Wali Khidki Mein Lyrics
Main Chali Main Chali Lyrics | Padosan | Asha Bhosle, Lata Mangeshkar
Mere Samne Wali Khidki Mein Lyrics Old Hindi Songs was sung by Asha Bhosle, Lata Mangeshkar is from the movie Padosan. The song is written by Rajendra Krishan. Music composed by R. D. Burman. The movie was directed by Jyoti Swaroop.
Mai chali mai chali, dekho pyaar ki gali
Koi roke na mujhe, mai chali mai chali
Na na na meri jaa, dekho jana na vahan
Koi pyaar ka lutera, lute na meri jaa
Mai chali mai chali
Ye fiza ye hava, ye nazare ye sama
Ab pyar na hua to phir kab hoga
Ye fiza ye hava, ye nazare ye sama
Ab pyar na hua to phir kab hoga
Koi khel to nahi, ye hai pyaar meri ja
Tujhe pata bhi na chalega ye jab hoga
Mai chali mai chali, dekho pyaar ki gali
Koi roke na mujhe, mai chali mai chali
He diwane ye jawani, koi sajmajaye kya
Kab rokne se rukate hai diwane
He diwane ye jawani, koi sajmajaye kya
Kab rokne se rukate hai diwane
Tu hai abhi nadan, jara soch meri jaan
Roj aate nahi din aise mastane
Na naa naa meri ja, dekho jana na vaha
Koi pyar ka lutera, lute na meri ja
Mai chali mai chali
Ha haa haa meri ja, dekho jana na vaha
Koi pyar ka lutera, lute na meri ja
Mai chali mai chali
Kahi aankh na mile, kahi dil na lage
To pyaar ka zamana kis kaam aaya
To ye rut ye ghata bolo sochegi kya
Mai chali mai chali, dekho pyaar ki gali
Mujhe roke na koi, mai chali mai chali
Na na na meri jaa, dekho jana na vahan
Koi pyaar ka lutera, lute na meri jaa
Mai chali mai chali
Must Listen: