Table of Contents
Sandese Aate Hai Song Lyrics | Border | Gane | Sonu Nigam and Roop Kumar Rathod Lyrics
Sandese Aate Hai Lyrics Song Credits:
Singer | Sonu Nigam and Roop Kumar Rathod |
Music | Anu Malik |
Movie | Border |
Song Writer | Javed Akhtar |
Director | J P Dutta |
Starcast | Suniel Shetty, Akshaye Khanna, Sunny Deol, Punit Issar, Khulbhushan Kharbanda, Pooja Bhatt, Indrani Mukherjee, Sudesh Bery, Tabbu |
Sandese Aate Hai Lyrics in Hindi was sung by Sonu Nigam and Roop Kumar Rathod is from the movie Border. The song is written by Javed Akhtar. Music composed by Anu Malik. The movie was directed by J P Dutta.
Lyrics Of Sandese Aate Hai Lyrics Starts
Ho ho ho.. Ho ho ho..
Sandese aate hai,
Humein tadpaate hain
Jo chitthi aati hai
Woh poochh jaati hai
Ke ghar kab aaoge,
Ke ghar kab aaoge, likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar suna, suna hai
Sandese aate hai
Humein tadpaate hain
To chitthi aati hai to puchh jaati hai
Ke ghar kab aaoge, ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ke tum bin ye ghar suna suna hai
Kisi dilwali ne, kisi matwali ne
Humein khat likha hain
Ki humse puchha hai
Kisi ki saanso ne kisi ki dhadkan ne
Kisi ki chudi ne, kisi ke kangan ne
Kisi ke kajre ne, kisi ke gajre ne
Mehakti subahon ne,
Machalti shamon ne
Akeli raaton ne, adhuri baaton ne
Tarasti bahon ne aur puccha hai
Tarsi nighahon ne
Ke ghar kab aaoge,
Ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge,
Ke tum bin ye dil suna, suna hai
Sandese aate hai
Humein tadpaate hain
Jo chitthi aati hai, wo puchh jaati hai
Ke ghar kab aaoge,
Ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar suna, suna hai
Mohabbat walon ne,
Humare yaaron ne
Humein ye likha hain
Ke humse puchha hain
Humare gaon ne, aam ki chhao ne
Purane peepal ne, baraste badal ne
Khet khaliayanon ne,
Hare maidanon ne
Basanti belon ne, jhumti belon ne
Lachakte jhulon ne,
Behekte phoolon ne
Chatakti kaliyon ne aur puchha hain
Gaaon ki galiyon ne
Ke ghar kab aaoge,
Ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge, ki tum bin
Gaaon suna suna hai
Sandese aate hai
Humein tadpaate hain
Jo chitthi aati hai, wo puchh jaati hai
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar suna, suna hai
Ho ho ho.. Ho ho ho..
Kabhi ek mamta ki, pyar ki ganga ki
Jo chitthi aati hai, saath vo laati hai
Mere din bachpan ke,
Khel wo aangan ke
Woh saaya aanchal ka
Woh teeka kajal ka
Woh lori raaton mein
Woh narmi haathon mein
Woh chaahat aankhon mein
Woh chinta baaton mein
Bigadna oopar se,
Mohabbat andar se
Kare wo devi maa
Yahin har khat mein
Puchhe meri maa
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge, likho kab aaoge
Ki tum bin aangan suna, suna hai
Sandese aate hai
Humein tadpaate hain
Jo chitthi aati hai, wo puchh jaati hai
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar suna, suna hai
Ae guzarne wali hawa bata
Mera itna kaam karegi kya
Mere gaon jaa
Mere doston ko salaam de
Mere gaon mein hai jo wo gali
Jahan rehati hai meri dilruba
Usse mere pyar ka jaam de
Usse mere pyar ka jaam de
Wahin thodi door hai ghar mera
Mere ghar mein hai meri budhi maa
Mere maa ke pairon ko chhuke tu
usse uske beta ka naam de
Ae guzarne wali hawa zara
Mere doston, meri dilruba,
Meri maa ko mera payam de
Unhe jaake tu ye payam de
Main wapas aaunga
Main waapas aaunga
Phir apne gaon mein
Usiki chhaon mein
Ke maa ke aanchal se
Gaon ke peepal se
Kisike kajal se,
Kiya jo wada tha wo nibhaunga
Main ek din aaunga 8x
Sandese Aate Hai Lyrics Hindi Songs PDF
Listen to Sonu Nigam Sandese Aate Hai Lyrics
Must Listen: