Zindagi Ka Safar Lyrics | Safar | Purane Gane | Kishore Kumar

Zindagi Ka Safar Hai Ye Kaisa Safar Lyrics | Safar | Purane Gane | Kishore Kumar Lyrics

Zindagi Ka Safar Lyrics Song Credits:

SingerKishore Kumar
MusicKalyanji, Anandji
MovieSafar
Song WriterIndeevar
DirectorAsit Sen
StarcastRajesh Khanna, Sharmila Tagore, Feroz, Ashok Kumar, Aruna Irani, Junior Sachin

Zindagi Ka Safar Lyrics in Hindi was sung by Kishore Kumar is from the movie Safar. The song is written by Indeevar. Music composed by Kalyanji, Anandji. The movie was directed by Asit Sen.

Lyrics Of Zindagi Ka Safar Hai Ye Kaisa Safar Starts

Zindagi ka safar hai ye kaisa safar
Koi samjha nahi, koi jana nahi

Zindagi ka safar hai ye kaisa safar
Koi samjha nahi, koi jana nahi
Hai yeh kaisi dagar chalte hain sab magar
Koi samjha nahi, koi jana nahin

Zindagi ko bohat pyaar humne diya
Maut se bhi mohabbat nibhaayenge hum

Rote rote zamane mein aaye magar
Hanste hanste zamane se jaayenge hum
Jaayenge par kidhar hai kise yeh khabar
Koi samjha nahi, koi jana nahin

Aise jeevan bhi hain jo jiye hi nahi
Jinko jeene se pehle hi maut aa gayi
Phool aise bhi hain jo khile hi nahi
Jinko khilne se pehle kiza kha gai

Hai pareshan nazar, thak gaye char gar
Koi samjha nahi, koi jana nahin
Zindagi ka safar hai ye kaisa safar
Koi samjha nahi, koi jana nahi

Zindagi Ka Safar Lyrics Hindi Songs PDF

Listen to Kishore Kumar Zindagi Ka Safar Lyrics

Jo Tumko Ho Pasand Wohi Baat Kahenge Lyrics | Safar

Jo Tumko Ho Pasand Wohi Baat Kahenge
Jo tumko ho pasand wohi baat kahenge
Jo tumko ho pasand wohi baat kahenge
Tum din ko agar raat kaho raat kahenge
Jo tumko ho pasand wohi baat kahenge

Dete na aap sath to mar jaate hum kabhi ke
Dete na aap sath to mar jaate hum kabhi ke
Pure huye hain aap se armaan zindagi ke

Hum zindagi ko aapki
Hum zindagi ko aapki
Hum zindagi ko aapki saugat kahenge
Tum din ko agar raat kaho raat kahenge

Jo tumko ho pasand wohi baat kahenge
Chahenge, nibahenge, sarahenge aap hi ko
Chahenge, nibahenge, sarahenge aap hi ko
Aankhon mein dam hai jab tak

Dekhenge aap hi ko
Apni zubaan se aapke
Apni zubaan se aapke
Apni zubaan se aapke jazbaat kahenge

Tum din ko agar raat kaho raat kahenge
Jo tumko ho pasand wohi baat kahenge
Jo tumko ho pasand wohi baat kahenge

Jeevan Se Bhari Teri Aankhen Lyrics | Safar

Jeevan Se Bhari Teri Aankhen
Majboor karein jeene ke liye, jeene ke liye
Sagar bhi taraste rehte hain
Tere roop ka ras peene ke liye, peene ke liye

Jeevan se bhari teri aankhen
Tasveer banaye kya koi
Kya koi likhe tujh pe kavita
Rangon chhandon mein samayegi

Rangon chhandon mein samayegi
Kis tarah se itni sundarta, sundarta
Ek dhadkan hai tu dil ke liye
Ek jaan hai tu jeene ke liye, jeene ke liye

Jeevan se bhari teri aankhen
Madhuban ki sugandh hai saanson mein
Baahon mein kamal ki komalta
Kirnon ka tej hai chehre pe

Kirnon ka tej hai chehre pe
Hirnon ki hai tujh mein chanchalta, chanchalta
Aanchal ka hai taar bahut
Koi chaak jigar seene ke liye, seene ke liye

Jeevan se bhari teri aankhen
Majboor karein jeene ke liye, jeene ke liye
Jeevan se bhari teri aankhen

Hum The Jinke Sahare Lyrics | Safar

Hum the jinke sahare
Woh huye na hamare
Doobi jab dil ki naiya
Saamne the kinare

Hum the jinke sahare
Woh huye na hamare
Doobi jab dil ki naiya
Saamne the kinare

Hum the jinke sahare
Kya mohabbat ke vaade
Kya wafa ke iraade
Rait ki hain deewarein

Jo bhi chaahe gira de
Jo bhi chaahe gira de
Hum the jinke sahare
Woh huye na hamare

Hai sabhi kuchh jahan mein
Dosti hai, wafa hai
Apni yeh kam-naseebi
Humko na kuchh bhi mila hai

Humko na kuchh bhi mila hai
Hum the jinke sahare
Woh huye na hamare
Yoon to duniya basegi

Tanhaai phir bhi dasegi
Jo zindagi mein kami thi
Woh kami to rahegi
Woh kami to rahegi

Hum the jinke sahare
Woh huye na hamare
Doobi jab dil ki naiya
Saamne the kinare
Hum the jinke sahare

Must Listen:

Leave a Comment